Aksar is duniya mein anjaane milte hain
Aksar is duniya mein anjaane milte hain
Anjaani raahon mein mil ke kho jaate hain
Lekin hamesha woh yaad aate hain
Aksar is duniya mein anjaane milte hain
Anjaani raahon mein mil ke kho jaate hain
Lekin hamesha woh yaad aate hain
Aksar is duniya mein
Aankhon se baat hoti hai
Dhadkan bhi sath hoti hai
Koyi na samjhe yeh ishq ki zubaan
Aankhon se baat hoti hai
Dhadkan bhi sath hoti hai
Koyi na samjhe yeh ishq ki zubaan
Dheere dheere se woh dil mein bas jaate hain
Dheere dheere se woh dil mein bas jaate hain
Chori chori se woh dil ko churaate hain
Phir ek din woh bichhad jaate hain
Aksar is duniya mein
Yeh dil to pyaar maange hai
Sachcha dildar maange hai
Jaane mohabbat mile kise kahan
Yeh dil to pyaar maange hai
Sachcha dildar maange hai
Jaane mohabbat mile kise kahan
Jab aisi raaton mein deewane milte hain
Jab aisi raaton mein deewane milte hain
Nazrein takraati hain phir dil dhadakte hain
Chaahat ke afsane ban jaate hain
Aksar is duniya mein [duniya mein, duniya mein]
Anjaane milte hain [milte hain, milte hain]
Anjaani raahon mein mil ke kho jaate hain
Lekin hamesha woh yaad aate hain
[Lekin hamesha woh yaad aate hain]
Lekin hamesha woh yaad aate hain
[Lekin hamesha woh yaad aate hain]